Aadatein kuch bigad gayi thi meri unhe sudhar na chahta tha,
Kisi ki ahmiyat kuch bad gayi thi zindagi me,
kuch kum karna chahta tha,
Maano sumandar ki gehraiyo me kuch zyada dub chuka tha,
Sanse ruk ne phele upar aana chahta tha.
Waqt ka ehsaas na raha jab dhoondle raasto se guzarta raha,
Ankoon par vishwas na raha jab andhere me khada tha, aur ujaala na raha,
zindagi chal rahi thi, Aur kadaam aap se aage bad rahe the,
Par na jaane kyu Andhero me Uuhi, Mai khota raha.
Galatiyon se fir bhi seekta raha,
Apne aap ko thoda kuch kostha bhi raha,
Ujaale ki Umeed na honee par bhi Ujala hua
Zehen me khushi ke leher uthi jab na Jaane kaise yeh Karishma hua
Shayad Khudrat ka yahi fasana hai,
Jaan kar bhi baanta Insaan Anjaana hai,
Mushkiley bhale hi ho,
Par har Gehri Raat ke baad
ek Nayi Taazgi bhari Din to aana hai ;-)
No comments:
Post a Comment
Please feel free and let me know what you think! Keep coming back!!