Sunday, July 15, 2007

Kya Sikhati hai Zindagi


Pal pal nayi sabak sikhati hai Zindagi
Waqt Waqt nayi rah dikhati hai Zindagi
Jab sochta hu ki sikh liya hai abb maine
Phir kyu jane nayi paheliya bujati hai Zindagi

Jab Tairta hu to Sagar dikhati hai Zindagi
Jab Doudta hu to pahadiyo ki choti dikhati hai Zindagi
Jab lagta hai kisi seema par pohoch gaya
Tab jane kyu nayiii aseemtaaye dikhati hai Zindagi

Kabhi badalo me udne ki chah deti hai Zindagi
Kabhi Taro ko chuh jane ki chah deti hai Zindagi
Aur jab ye chaho ki leher utthi hai mann me
Tab jane kyu zameen par reh kar kya kiya puch utthi hai Zindagi

Shayad sahi waqt bata rahi hai zindagi
Shayad sahi disha dikha rahi hai zindagi
Aur jab hum use dund rahe hote hai yaha waha
Tab shayab
Har waqt aur har rah par safalta hoti hai
ye dikhati hai Zindagi


-Kiran Hegde

3 comments:

Please feel free and let me know what you think! Keep coming back!!